Raat ki chadar odhe leta hun main taron tale,
Soch raha hun zindagi ke vo guzre afsane,
Chale the jo saath mere achhe waqt mein,
Aaj wahi hain nadar meri zindagi se,
Nahi janta hun kahan aa gaya hun,
Khud ki khud se ladai mein uljha hun,
Kise sunaun apne gham ki dastaan,
Koi nahi hai yahan mujhe sun ne wala,
Apno ki bheed mein tanha sa rehta hun,
Kuch bezubaan se firta rehta hun,
Fir wahi raat hai wahi taroon ka mela,
Fir wahi tanhai hai aur yahan main akela.
No comments:
Post a Comment